Aawaara main naa ban paaya
Deewana tune ban’ne na diya
Bhul main naa paaya tujhe
Yaad tune karne naa diya
Pyaar tujhse naa karu, khud ko… rokh taa raha!
Is ajeeb dil ko, humesha… kos’ taa raha!
Ijaazat to hai nahi, mann ko… tok taa raha!
Parr tere hi khayaalo mey, main… doob taa raha!
Tere binaa jiney ki tamanna naa thi
Tere yaadon ko mitaane ki chahat na thi
Un beeete hue lamho ke saath jee taa raha
Tere judaai ki aadh me mai pee ta raha
Jaam ne bhi, kabhi mera saath naa diya
Tere chahat ney nasheko chadhne naa diya
Zahar ne bhi… is zindagi ko kabhi dhoka naa diya
Saans ko kabhi tere bin rukhne naa diya
Milne ki tamanna liye mai jeeta raha
Saraab mey hi mai tumhe dekh ta rahaa
Tere khayaalo mey main… doob taa raha
Zindagi ka saath mai nibhaataa raha
Aawaara main naa ban paaya
deewana tune ban’ne na diya
Bhul main naa paaya tujhe
Yaad tune karne naa diya